Followers

Friday, June 26, 2009

sheeshey se bani ek ladki

Patthar ke nagar mein aayi
Woh dhoond rahi thi moti
Aur patthar se takraayi
Sheeshay se bani ek larki

Sheeshay se bani yeh larki
Is baat se hai anjaani
Jab rait chamakti hai to
Lagti hai door se paani
Yeh phool hain sab kaaghaz ke
Lekin woh samajh na paayi

Sheeshay se bani ek larki
Patthar ke nagar mein aayi
Woh dhoond rahi thi moti
Aur patthar se takraayi

Sheeshay se bani larki se
Keh do na baad mein rona
Kuch log hain jo peetal ke
Kehte hain woh khud ko sona
Yeh jhoot ka pul tootega
Aur gehri hai gham ki khaayi

Sheeshay se bani ek larki
Patthar ke nagar mein aayi
Woh dhoond rahi thi moti
Aur patthar se takraayi

2 comments:

Shubham Jain said...

ufff Ekta, u r just awesome....

विजय पाटनी said...

awesome..

Related Posts with Thumbnails