Followers

Friday, June 26, 2009

Socha na tha

socha na tha mujhe bhi diwaana koi banayega,
in adao ka perwaana koi banayega.

in mrig nayno per mai bhi kavita likhuga,
aankhe band kar ek anjaani tasvir ukeruga,
lato ko uski mai badal se joduga,
aur chaal ko uski ek hirni se toluga,
socha na tha, mai shayar ban jauga,
aur itna badlaw khud me pauga....

Barish ka hona mujhme umnge layega,
aur indradhanush jeevan me rang bhar jayega,
dinbhar kisi ka khyal mujhe satayega,
aur raat sapno me wo darash dikhayega,
socha na tha, aisa kuch mere saath ho jayega,
raate lambi aur din chota ho jayega....

3 comments:

विजय पाटनी said...

yeh socha nahi jaata ho jaata hai aisa jab koi lagne lagta hai dil ko accha :P
acchi hai as usual :)

Unknown said...

its awsome...
:)

EKTA said...

i think credit should go to ur inspiration...
m i rite?????
its amazing.....

Related Posts with Thumbnails